Abhi nikli hai choo kar ke dil ki mere daali,
Woh ladki hai ya hai koi hawaa matwaali.
Khile poora badan zara jo muskara de woh
Dikhe masoom , chanchal, shokh adaa waali.
Woh gesu hain, ya badal athkheliyaan karte,
Surahidaar gardan bhi hai kya khoob niraali.
Gulaabon main bhi na dekha wo gulaabipan,
Jo lab se hai numaaya, gulaabi pankhudi waali.
Ghaneri palkon ka bhi johar kuch niraala hai,
Woh pal main din aur pal main raat hai kaali.
Chupa rakhe hain na jane kitne raaz aankhon main,
Woh jheel si gehri aankhein, jiski hain paataali.
Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.
Mehektaa lamba tan jiski woh khudzaat hai maalik,
Chaal bhi kya khoob paai hai pagdandiyon waali.
Na tha ‘Gabbar’ iraada aaj nayaa kuch likhne ka,
Utha qalam jo dekhi shakhsiyat mukammal ghazal waali.
Rai se zuroor nawaziyega.

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.
Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.
No comments:
Post a Comment