Pages

Tuesday, April 27, 2010

Intzar Kaise Karun


Sunhari Dhoop Tera Intzar Kaise Karun?
Tumhari Bat Ka Mai Aitbar Kaise Karun?
===========================
Abhi To Shaam Hi Aai Hai Andhera Hoga,
Raat Gahrayegi To Aur Jaane Kya Hoga?
Abhi To Pau Na Fati Na Kahin Ajaan Hua,
Isi Ko Soch Kar Dil Mera Hairaan Hua,
===========================

Sunhari Dhoop Tera Intzar Kaise Karun?
Tumhari Bat Ka Mai Aitbar Kaise Karun?
===========================

Yahi Malal Yahi Qasmkas Satata Hai,
Vahi Khayal Mujhe Bar-Bar Aata Hai,
Ki Roshni Ke Liye Khat Mera Jalaya Tha,
Kuchal Ke Paav Tale Khak Me Milaya Tha,
Tere Kirdar Ka Mai Aitbar Kaise Karun?
===========================

Sunhari Dhoop Tera Intzar Kaise Karun?
Tumhari Bat Ka Mai Aitbar Kaise Karun?
===========================

Koi To Raaj Hai Har Baat Taal Jaati Ho,
Larajte Lafz Ka Matlab Samhal Jaati Ho,
Abhi To Aai Ho Baitho Tumhari Sans Thame,
Mai Tumko Sunaun Tum Apni Baat Hame,
Abhi Bhara Hai Dil Tumko Pyar Kaise Karun?
===========================

Sunhari Dhoop Tera Intzar Kaise Karun?
Tumhari Bat Ka Mai Aitbar Kaise Karun?
===========================

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Monday, April 26, 2010

Mujhe Teri Zarurat Hai


Rulana Har Kisi Ko Aata Hai,
Hasana Kisi Kisi Ko Aata Hai,
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sachha Yaar Hai
Aur Jo Rula Ke Khudh Bhi Aansu Bahaye
Wo Tumhara Pyar Hai !!

Aaj Har Ek Pal Khoobsurat Hai
Dil Me Mere Sirf Teri Surat Hai
Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Gham Nahi
Duniya Se Jyada Mujhe Teri Zarurat Hai.

Bar Bar Chahe Dil Rota Hai
Par Isme Bhi Chahat Ka Nasha Hota Hai
Jitna Chahe Bach Lo, Par Zindagi Mein
Ek Bar Pyaar Jaroor Hota Hai !!

Dard Me Koi Mausam Pyara Nahin Hota
Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahin Hota
Dekhe Zara Koi Bebsi Hamari,Hum Uske Ho
Gaye Jo Hamara Nahin Hota !!

Hum Ne Tanhai Me Zanzeer Se Baaten Ki Hai
Apni Soi Huwi Taqdeer Se Baate Ki Hai
Tere Didar Ki Kya Tamanna Hogi
Zindagi Bhar Teri Tasweer Se Baaten Ki Hai

Pyar Me Bewafai Mile To Gum Na Karna
Apni Aankhe Kisi Ke Liye Num Na Karna
Wo Chahe Laakh Nafrat Kare Tumse
Par Tum Apna Pyar Kabhi Uske Liye Kam Na Karna

Aadat Hai Teri Yaad Aane Ki Ankhoko
Teri Ek Zalak Pane Ki Hamari To
Tamanna Hai Apko Pane Ki Par Shayad
Aapki Aadat Hai Hame Tadpane Ki!!

Har Baat Ka Koi Jawab Nhi Hota,
Har Ishq Ka Naam Khrab Nhi Hota,
Yu To Zhoom Lete He Nashe Me Pine Wale,
Par Har Nashe Ka Naam Sharab Nhi Hota..

Kitna Haseen Phir Se Nazaara Bana Diya,
Jaise Khuda Ne Tum Ko Doobaara Bana Diya,
Aaya Tha Imtihaan Me Mazmoon Husn Par,
Hum Ne Paper Par Chehra Tumhaara Bana Diya

Kya Gham He Kya Khushi Malum Nahi,
Wo Apna Hai Ki Ajnabi Malum Nahi,
Jiske Bina Ek Pal Nahi Guzarta,
Kaise Guzregi Zindagi Malum Nahi

Pyaar Pe Bas To Nahi Hai Mera
Lekin Fir Bhi Tu Mujhe Bata De Ki
Tujhe Pyaar Karu Ki Na Tune Khud
Apni Adao Se Jagaya Hai Jinhe Un
Tamanao Ka Ijhar Karu Ki Na !!

Dur Hi Sahi Kinara To Hai,
Tim-Timata Hi Sahi Sitara To Hai,
Ho Jati Hai,Tumari Yaad Se Hi Tassali,
Tinka Hi Sahi Sahara To Hai !!

You Mile Ke Mulakat Na Hosaki
Suraj Duba Par Rat Hona Saki
Meri Khamosh Nigahe Har Baat Keh Gai
Aur Usko Shikayat Hai Ki Bat Ho Na Saki..

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Thursday, April 22, 2010

Himat Na Karte

Andaaza Hota Ki Phir Se Milenge
Tumse Bichar Ne Ki Himat Na Karte
Tab Jo Kaha Tha. Zamana Abhi Kahega
Phir To Zamane Ka Bahana Na Karte

Ro Ro Ke Guzare Hai Humne Raate
Zamana Na Aaya Tha Mere Gham Ko Bhulane..
Tis Jo Utha Tha Dil Mein Humhare
Zamana Na Aaya Tha Usko Belane

Muskil Hai Dil Ki Halat Zamane Ko Samjhana
Uski Kadmo Mein Apni Khushiya Becha Dena
Nahi Reh Sakenge Ab Tumse Juda Hokar
Ab Na Bichar Na Jo Dubara Mile Hai...
Zamane Ko Hoga Ab Humhein Apnana...

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.


Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Sunday, April 18, 2010

Sochta Hoon Ek Din


Sochta Hoon Ek Din Kuchh Aisa Karoonga,
Teri Zulfon Me Sokar Apne Khwabon Ko Poora Karunga…..
Teri Ye Aankhein Kar Na De Mujhe Diwana,
Phir Bhi In Aankhon Me Khone Ki Main Khata Karunga,
Teri Ye Mast Ada Kar Na De Mujhe Aawara,
Phir Bhi Teri Har Ada Ko Dekha Krunga,

Sochta Hoon Ek Din Kuchh Aisa Karoonga,
Teri Zulfon Me Sokar Apne Khwabon Ko Poora Karunga…..,
Teri Ye Surkh Honton Ki Muskurahat .
Dekhe Bina Jee Nahi Sakunga,
Teri Yaadon Ki Barsaaton Ne Gher Rakha Hai Mukhe,
Phir Bhi Har Lamha,Har Pal Yaad Main Tujhe Kiya Karunga,

Sochta Hoon Ek Din Kuchh Aisa Karoonga,
Teri Zulfon Me Sokar Apne Khwabon Ko Poora Karunga…..Tera Ye Muskurakar Mujhse Baat Karna,
Har Pal Is Suhane Pal Ki Main Guzarish Karunga,
Agar Nahi Mili Tum Mujhe Is Zindagi Mein,
Apne Jism Ka Har Hissa Bechkar Tujhe Paane Ki Main Koshish Karunga,

Sochta Hoon Ek Din Kuchh Aisa Karoonga,
Teri Zulfon Me Sokar Apne Khwabon Ko Poora Karunga…..Tu Agar Kehde Mujhse Ke Baith Jaao ‘Abhi’
To Zindigi Bhar Na Vahan Se Uthunga ‘Jaana’
Tu Agar Keh Do Ke So Jaao ‘Abhi’
To Sub-Ha Qayamat Tak Main Sota Hi Rahunga’Jaanam’

Sochta Hoon Ek Din Kuchh Aisa Karoonga,
Teri Zulfon Me Sokar Apne Khwabon Ko Poora Karunga…..

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Thursday, April 8, 2010

Galib Ka Dil Le Gayee

 
Abhi nikli hai choo kar ke dil ki mere daali,
Woh ladki hai ya hai koi hawaa matwaali.

Khile poora badan zara jo muskara de woh
Dikhe masoom , chanchal, shokh adaa waali.

Woh gesu hain, ya badal athkheliyaan karte,
Surahidaar gardan bhi hai kya khoob niraali.

Gulaabon main bhi na dekha wo gulaabipan,
Jo lab se hai numaaya, gulaabi pankhudi waali.

Ghaneri palkon ka bhi johar kuch niraala hai,
Woh pal main din aur pal main raat hai kaali.

Chupa rakhe hain na jane kitne raaz aankhon main,
Woh jheel si gehri aankhein, jiski hain paataali.

Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.

Mehektaa lamba tan jiski woh khudzaat hai maalik,
Chaal bhi kya khoob paai hai pagdandiyon waali.

Na tha ‘Gabbar’ iraada aaj nayaa kuch likhne ka,
Utha qalam jo dekhi shakhsiyat mukammal ghazal waali.

Rai se zuroor nawaziyega.

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.


Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Mere Kis Kaam Aaya


Duniya Ki Nazroon Mein Girna Mere Kis Kaam Aaya
Apno Say Bicher Kar Woh Bewafa Geroon Ke Kaam Aaya

Mujhey Maloom Na Tha Ke Apnay He Bewafaee Kartay Hain
Meri Dunya Berbaad Kartay Huway Ussay Rehem Na Aaya

Ager Wafadaar Hota To Mujh Say Bewafaee Na Karta
Mujhey Zindagi Bhar Intezaar Raha Mager Lout Kar Na Aaya

Zindagi To Akelay Guzer He Jaey Gi Ae Humsafer .....
Jissay Dost Samjha Woh Bewafa Mujh Say Dushmani Karnay Aaya

Dost Bana Kar Hum Say Dushmani Na Ho Saki Ahsan
Jab Issay Tanhaee Nay Sataya To Merey Paas Aaya

Fakat Ab Mujhey Teri Zarorat He Kya Hai Dost
Mera Janaza Dekh Kar Ab Tujhey Rona Kyun Aaya

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.


Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Galib Ki DIL KI Hasrat

Aa, Ki Meree Jaan Ko Qaraar Naheen Hai
Aah Ko Chaahiye Ik 'Umr Asar Hone Tak
'Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Naheen Raha
Baazeechaa-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage
Be-'Eitadaaliyon Se, Subuk Sab Mein Ham Huve
Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Daayam Pada Huaa Tere Dar Par Naheen Hoon Main
Dard Minnat_Kash-E-Dawa Na Huaa
Dekhna Qismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aajaaye Hai
Dhota Hoon Jab Main Peene Ko Us Seem_Tan Ke Paanv
Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai ?
Dil Hee To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon ?
Dil Se Teree Nigaah Jigar Tak Utar Gayee
Diyaa Hai Dil Agar Usko, Bashar Hai Kya Kahiye ?
Fir Kuchch Is Dil Ko Beqaraaree Hai
Fir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya
Ghair Lein Mehfil Mein Bose Jaam Ke
Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair
Hai Bas Ki Har Ik Unke Ishaare Mein Nishaan Aur
Hairaan Hoon Dil Ko Ro'oon Ki Peetoon Jigar Ko Main ?
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Too Kya Hai' ?
Hazaaron Khwahishain 'Eisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikle
Husn-E-Mah, Garche Ba_Hangaam-E-Kamaal Achcha Hai
Ibn-E-Mariyam Huwa Kare Koee
Ishq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
Jaur Se Baaz Aaye Par Baaz Aayain Kya ?
Jis Bazm Mein Too Naaz Se Guftaar Mein Aave
Kabhee Nekee Bhee Uske Jee Mein Gar Aa Jaaye Hai Mujhse
Kisee Ko De Ke Dil Koee Nawaa_Sanj-E-Fughaan Kyon Ho ?
Koee Din Gar Zindagaanee Aur Hai
Koee Ummeed Bar Naheen Aatee
Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koee Din Aur
Maze Jahaan Ke Apnee Nazar Mein Khaak Naheen
Meharbaan Ho Ke Bulaa Lo Mujhe Chaaho Jis Waqt
Miltee Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Muddat Huee Hai Yaar Ko Mehmaan Kiye Hue
Na Tha Kuchch To Khuda Tha, Kuchch Na Hota To Khuda Hota
Naqsh Fariyaadee Hai Kiskee Shokhee-E-Tehreer Ka
Nuktaacheen Hai Gham-E-Dil Usko Sunaaye Na Bane
Rone Se Aur Ishq Mein Be_Baak Ho Gaye
Shauq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Saamaan Niklaa
Taskin Ko Ham Na Roen Jo Zauq-E-Nazr Mile
Us Bazm Mein Mujhe Naheen Bantee Haya Kiye
Woh Aake Khwaab Mein Taskeen-E-Iztiraab To De
Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahaan ?
Ye Jo Ham Hijr Mein Deewaar-O-Dar Ko Dekhte Hain
Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Zikr Us Pareewash Kaa, Aur Phir Bayaan Apnaa
Zulmat_Kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.


Friday, April 2, 2010

Teri Yaad Nay Meray Dil Ko

Teray Pyar Main Sab Ko Bhula Rakha Hai
Kuch Acha Nahin Legta Teri Judai Kay Baad
Ek Teri Yaad Ko Sinay Say Laga Rakha Hai
Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai
Sab Kuch Lut Gaya Hamara Teray Pyar Main
Teri Yaad Ko Palkoon Main Chupa Rakha Hai
Muqadar Say Miltay Hain Bichar Kay Warna
Ajj Bhi Tera Naam Dil Main Saja Rakha Hai
Najanay Koi Nahin Basta Teray Siva Ankh Main
Aik Teri Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai 

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Hum Unki Rahguzar Pe


Hum Unki Rahguzar Pe Aaj Bhi Sajda Karte Hain
Wo Aaye Ya Na Aaye Milne Ki Dua Karte Hain
Jab Phoolon Ki Thi Hasrat
Tab Kaante Hi Aaye Daman Mein
Ab Ke Kaanton Se Ki Hai Dosti
Tab Phool Barsate Ho!
Teri Muhabbat Mein Pagal Ho
Hum Tujhe Khuda Bana Baithe
Patthar Ke Ai But Tujhse To
Dil Tuta Aisa Ki Awaaz Na Aai.
Dil Hi To Hai Koi Patthar Nahi
Zara Narmi Se Pesh Aaiye
Ab Darde Dil Diya Hai To
Dawa Bhi Batate Jaaiye.

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.
 
Home | About Us |Our Services | Contact Us | SEO Package | Privacy Policy | HTML Site Map