Pages

Tuesday, May 25, 2010

Haale-E-Dil


Likha Hai Kai Baar Haale-E-Dil En Kaagajon Per
Shabdo Nei Dil Ko Chua Aur Afsaane Ban Gaye
Kal Tak To Theh Paraye, Dil Ke Kareeb Aaye
Poochta Hai Dil, Kyon Sapne Yuin Sajaaye

Likha Hai Kai Baar Haale-E-Dil En Kaagajon Per
Sapno Ke Mahal Es Mann Mei Hai Sajaaye
Har Aur Gul Najar Aate Hain Ab Gulshan Mei
Poochta Hai Dil, Kyon Chaman Yuin Muskuraaye

Likha Hai Kai Baar Haale-E-Dil En Kaagajon Per
Sun Kar Mere Armaan, Sawalaat Uth Khare Hain
Kaise Unhe Bataye, Karein Bayan Dil Ke Jajbaat
Kabhi Hain Wo Samjhte, Kabhi Gujra Hai Naagwaar Unko
Poochta Hai Dil, Maine Aisa Kaya Kiya Jo Pareshaan Hain Wo

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............ 
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Monday, May 24, 2010

Kuch Log Jindagi Main


Kehte Hai, Kuch Log Jindagi Main Aate Hai Istarah
Kab, Kaise Jigar Jaan Dost Ban Jaate Hai Kya Pata
Par Meri Viraan Jindagi Main Yeh Hota Nahi
Ke Main Ab Dost Koi Banata Nahi.

Kuch Log Mile The Mujhe Bhi Raah-E-Jindagi Main
Saath Chalenge Woh Mere Aisa Vaada Tha Unka
Koi Kisi Ke Liye Yaha Rukta Nahi
Ke Main Ab Dost Koi Banata Nahi.

Har Baar Mujhe Ek Chot Lagi Hai Kuch Aise
Ke Tukde Hue Hai Kai Aitbaar Ke Mere
Bikhare Un Tukdo Ko Main Samete Ta Nahi
Ke Main Ab Dost Koi Banata Nahi.

Mere Dil Ke Tukde To Har Koi Le Gaya Mujhse
Badle Main Bas Ek Suna Pan Degaya Har Koi
Ke Mera Dil Bhi Ab Mere Paas Nahi
Ke Main Ab Dost Koi Banata Nahi

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Thursday, May 20, 2010

Wo Tera Milna


Gamo Ki Khaak Sey Chaan Kar Aati Hai Awaaj Teri
Sadion Sey Basi Hai Es Dil Mei Yaad Teri

Na Jaane Kyon Kabhi Mur Kar Na Dekha Tumne
Kyon Khushnuma Dino Ko Yaad Na Kiya Tumne

Wo Tera Milna, Tera Hansna, Ruk Ruk Kar Wo Batiyaana Tera
Aur Phir Baaton Baaton Mei Tunak Jaana Tera

Aaj Bhi Satata Hai Humhe Wo Palat Kar Laut Aana Tera
Aankho Mei Liye Aansoo, Daaman Mei Chup Jaana Tera

Socha Tha Zindagi Tere Bina Bhi Hans Kar Gujar Jaayegee
Itni Bari Duniya Mei Humhe Koi Aur Khushi Mil Jaayegee

Aaj Phir Laut Kar Aaye Hain Usi Chaurahe Per,
Ki Ab Aur Gamo Ko Hum Sah Nahi Paate
Dete Hain Tumhe Awaaj, Chale Aao Ek Baar,
Tere Bina Ab Hum Jee Nahi Paate..

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Monday, May 17, 2010

Aaj Mujhe Jalne De


Ye Mere Hisse Ki Dhoop Hai, Aaj Mujhe Jalne De,
Kaanton Ki Raahein Ye Meri Hain, Inpe Chalne De,

Thokarein Mukaddar Ban Baithi Hain Ab To Mere,
Thokaron Ke Sahaare Hi To Mujhe Sambhalne De,

Manzoor Nahi Kisi Ko Ke Mujhe Chamakta Dekhein,
Mujhe Gaur Se Na Dekh, Tu Bhi Mujhe Dhalne De,

Mere Baad Hogi Kadar Zamaane Ko Meri, "Azeem,
Ye Waqt Mera Nahi, Mujhe Is Daur Se Nikalne De,

Jo Na Royoon To Duniya Kahegi Patthar Mujhe,
Aaj Is Patthar Ko Je Bharke Pighalne De,

Ye Mere Hisse Ki Dhoop Hai, Aaj Mujhe Jalne De,

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.


Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Wednesday, May 5, 2010

Tujhse Milne Se Pahele

Intezaar Karte Hain Tera, Intezaar Mein Hi Zindgi Guzar Na Jaye
Bekarar Hain Tere Liye, Bekarari Mein Hi Zindgi Guzar Na Jaye…

Tujhse Milne Se Pahele, Virah Ki Aag Mein Jal Raha Hoon
Tujhe Pyar Karne Ko Tadapta Hoon, Tere Pyar Ki Aag Mein Jal Raha Hoon,

Aayi Hai Phir Se Yaad Teri, Teri Bahon Ko Tarasta Hoon
Aagosh Mein Rahe Kar Tere Jaanam, Rone Ko Tarasta Hoon…

Aansoo Chalak Chalak Kar Satate Hain Raat Bhar
Moti Palak Palak Mein Pirone Ko Tarasta Hoon….

Intezaar Mein Jo Maza Hai Wo Milan Mein Kahan
Par Milkar Jo Bichhde To Kahan Jayenge Hum……

Milkar Juda Huye To Na Soya Karenge Hum
Ek Dusre Ki Yaad Mein Roya Karenge Hum……!!

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari & Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Tuesday, May 4, 2010

Ek Gulaab

Kal Tak Jo Gulaab Tere Pyaar Ko Mehkaya Karta Tha,
Aaj Wo Kisi Kitab Me Dabkar Ek Adhuri Kahani Sunata Hai,

Hum To Uski Laali Se Tere Hothon Ko Rangna Chahte The,
Usi Ke Laal Rang Se Tera Maang Bharna Chahte The,

Kal Tak Jiski Khushboo Se Mehekta Tha Aangan Mera,
Hum Uski Khushboo Se Saara Jahaan Mehkana Chahte The,

Wo Gulaab Jo Suraj Ki Paawan Dhup Se Dhul K Aaya Tha,
Aaj Murjhaake Beete Lamho Ki Katha Sunaya Karta Hai,

Duniya K Saare Rishte Todke Tujhko Apnana Chahte The,
Hum Teri Mohabbat Se Saara Jahaan Rangna Chahte The,

Kal Tak Jiske Khilne Se Chehra Khil Jaata Tha Tera,
Hum Tere Har Pal Ko Waisa Khilta Dekhna Chahte The,

Wo Gulaab Jo Tune Ek Roz Haath Me Mere Thamaya Tha,
Bhule Bhatke Ab To Bas Wo Teri Yaad Dilata Hai,

Hum To Uski Pankhudiyon Se Ehsaas Jagana Chahte The,
Uski Hi Narmi Se Tere Gaalon Ko Sehlaana Chahte The,

Kal Tak Jiske Laal Rang Se Holi Rangta Tha Mera,
Hum To Usi Rang Se Har Tyohaar Ko Rangna Chahte The,

Kal Tak Jo Gulaab Hamare Khushion Ki Gaatha Sunata Tha,
Aaj Wo Kisi Kitaab Me Dabke Ghum K Ghazal Sunata Hai,

Hum To Uske Laal Rang Se Pyaar Ko Rangna Chahte The,
Jeewan K Har Pal Me Tere Saath Chalna Chahte The,

Kal Tak Tere Hone Se Na Dard Se Rishta Tha Mera,
Aaj Tere Na Hone Se Bas Wo Hai Jo Na Chahte The...

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.
 
Home | About Us |Our Services | Contact Us | SEO Package | Privacy Policy | HTML Site Map