Pages

Tuesday, March 30, 2010

Jab Yaad Meri Aye

Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana”
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aye
To Darna Mat
“Mere Paas Laut Aana”

Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”

Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi Apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana

Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
“Meri Paas Laut Aana”

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”

Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat

From The Desk Of
Abhimanyu Poddar

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.
Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Tuesday, March 16, 2010

Main Aur Mere Roommates

Main Aur Mere Roommates
Aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar Saaf Hota To Kaisa Hota
Main Kitchen Saaf Karta, Tum Bathrooom Dhote
Main Hall Saaf Karta, Tum Balcony Dekhte
Log Is Baat Pe Hairaan Hote
Aur Us Baat Pe Haste….


Main Aur Mere Roommates,
Aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh Hara Bhara Sink Hai
Ya Bartanon Ki Jang Chidi Hui Hai
Yeh Colour Full Kitchen Hai
Ya Masalon Se Holi Kheli Hai
Hai Farsh Ki Nayi Design
Ya Doodh, Beer Se Dhuli Hui Hain

Yeh Cellphone Hai Ya Dhakkan,
Sleeping Bag Ya Kisika Aanchal,
Ye Airfreshner Ka Naya Flavour Hai,
Ya Trash Bag Se Ati Badboo
Yeh Pattiyon Ki Hai Sarsarahut
Ke Heater Phirse Kharab Hua Hai
Yeh Sonchta Hain Roommate Kab Se Gum Sum -
Ke Jab Ke Usko Bhi Yeh Khabar Hai
Ke Machar Nahi Hai, Kaheen Nahi Hai
Magar Uska Dil Hai Ke Kah Raha Hai
Machar Yaheen Hai, Yaheen Kaheen Hai !

Toand ( Pet ) Ki Ye Haalat, Meri Bhi Hai, Uski Bhi,
Dil Mein Ek Tasvir Idhar Bhi Hai, Udhar Bhi
Karne Ko Bohot Kuch Hai Magar Kab Kare Hum
Kab Tak Yoon Hi Is Tarah Rahe Hum

Dil Kahta Hai Safeway Se Koi Vaccum Cleaner La De
Ye Carpet Jo Jine Ko Zoonz Raha Hai, Fikwa De
Hum Saaf Rahe Sakte Hai, Logon Ko Bata Dain,
Haan Hum Roommates Hai – Roommates Hai – Roommates Hai

Ab Dil Main Yehi Baaaat, Idhar Bhi Hai Udhar Bhi..

Sab Ko Bata Dain..................................................

From The Desk Of
Abhimanyu Poddar

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.
Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain............

So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Sajda

The Sajda song from Karan Johar and Shahrukh Khan’s My Name Is Khan. If there are any mistakes in the Sajda lyrics, kindly post below in the comments section, we will rectify it as soon as possible.
Sajda – Bollywood Hindi Song Lyrics
Movie: My Name is Khan (2010)
Music Director: Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Director: Karan Johar
Lyricist: Niranjan Iyengar
Starring: Shahrukh Khan, Kajol
Song Title: Sajda
Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan, Shankar Mahadevan, Richa Sharma
Release Date: February 12, 2010

Sajda

Rom rom tera naam pukaare

Ek hue din reain hamare
Hum se hum hi chiin gaye hai
Jab se dekhe hai nainn deewane
Sajda ..
Teri kaali ankhiyon se jind meri jaage
Dhadkan se tej daudu, sapno se aagey
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda,
Din reain karoon na hi chain karoon
Sajda tera sajda
Rak vaar karoon meri jaan lut doon
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda,
(karun mein tera sajda)
Din reain karoon na hi chain karoon
Sajda tera sajda
(karun mein tera sajda)
Rak vaar karoon meri jaan lut doon
Ranjhna… naino ke teer chal gaye
Sajna… saanson se dil sil gaye
Palkon mein chupa loon, oh tera sajda karoon
Seenay mein samaa loon, oh din reain karoon
Palkon mein chupa loon, seenay mein samaa loon
Tere ang ang rang mera bole
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda,
(karun mein tera sajda)
Din reain karoon na hi chain karoon
Sajda tera sajda
(karun mein tera sajda)
Rak vaar karoon meri jaan lut doon
Veliya kya hua jo dil kho gaya
Mahiya ishq mein khuda mil gaya
Zara aakh se pila de, oh tera sajda karoon
Zara khwaab sajaa de, oh din reain karoon
Zara aakh se pila de, zara khwaab sajaa de
Mere hontoon pe mann tera bole
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda,
(karun mein tera sajda)
Din reain karoon na hi chain karoon
Sajda tera sajda
(karun mein tera sajda)
Rak vaar karoon meri jaan lut doon
Ohhh… Teri kaali ankhiyon se jind meri jaage
Dhadkan se tej daudu, sapno se aagey
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda,
Din reain karoon na hi chain karoon
Sajda tera sajda
Rak vaar karoon meri jaan lut doon

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.

Wednesday, March 10, 2010

Galib Ne Kaha

oAa, Ki Meree Jaan Ko Qaraar Naheen Hai
oAah Ko Chaahiye Ik 'Umr Asar Hone Tak
o'Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Naheen Raha
oBaazeechaa-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage
oBe-'Eitadaaliyon Se, Subuk Sab Mein Ham Huve
oBus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
oDaayam Pada Huaa Tere Dar Par Naheen Hoon Main
oDard Minnat_Kash-E-Dawa Na Huaa
oDekhna Qismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aajaaye Hai
oDhota Hoon Jab Main Peene Ko Us Seem_Tan Ke Paanv
oDil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai ?
oDil Hee To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon ?
oDil Se Teree Nigaah Jigar Tak Utar Gayee
oDiyaa Hai Dil Agar Usko, Bashar Hai Kya Kahiye ?
oFir Kuchch Is Dil Ko Beqaraaree Hai
oFir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya
oGhair Lein Mehfil Mein Bose Jaam Ke
oGhar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair
oHai Bas Ki Har Ik Unke Ishaare Mein Nishaan Aur
oHairaan Hoon Dil Ko Ro'oon Ki Peetoon Jigar Ko Main ?
oHar Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Too Kya Hai' ?
oHazaaron Khwahishain 'Eisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikle
oHusn-E-Mah, Garche Ba_Hangaam-E-Kamaal Achcha Hai
oIbn-E-Mariyam Huwa Kare Koee
oIshq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
oJaur Se Baaz Aaye Par Baaz Aayain Kya ?
oJis Bazm Mein Too Naaz Se Guftaar Mein Aave
oKabhee Nekee Bhee Uske Jee Mein Gar Aa Jaaye Hai Mujhse
oKisee Ko De Ke Dil Koee Nawaa_Sanj-E-Fughaan Kyon Ho ?
oKoee Din Gar Zindagaanee Aur Hai
oKoee Ummeed Bar Naheen Aatee
oLaazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koee Din Aur
oMaze Jahaan Ke Apnee Nazar Mein Khaak Naheen
oMeharbaan Ho Ke Bulaa Lo Mujhe Chaaho Jis Waqt
oMiltee Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
oMuddat Huee Hai Yaar Ko Mehmaan Kiye Hue
oNa Tha Kuchch To Khuda Tha, Kuchch Na Hota To Khuda Hota
oNaqsh Fariyaadee Hai Kiskee Shokhee-E-Tehreer Ka
oNuktaacheen Hai Gham-E-Dil Usko Sunaaye Na Bane
oRone Se Aur Ishq Mein Be_Baak Ho Gaye
oShauq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Saamaan Niklaa
oTaskin Ko Ham Na Roen Jo Zauq-E-Nazr Mile
oUs Bazm Mein Mujhe Naheen Bantee Haya Kiye
oWoh Aake Khwaab Mein Taskeen-E-Iztiraab To De
oWoh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahaan ?
oYe Jo Ham Hijr Mein Deewaar-O-Dar Ko Dekhte Hain
oYe Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
oZikr Us Pareewash Kaa, Aur Phir Bayaan Apnaa
oZulmat_Kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai

Abhi Ki Sher-O-Shyari Is A Sole And Original Collection Of Sher O Shayari &Amp; Gazzal Which Gives Force To Your Words. Shayri Is A Exclusive Graceful Language To Express Yourself.

Shayari Ko Dil Ki Dard Aur Chain Ki Ink Kehte Hain. Issi Ko Lafjon Ki Jubaa Aur Yaadon Ka Karwa Kehte Hain...........
.
So Enjoy The Cool Shyaris In This Blog Written By Abhimanyu Poddar. Feel Free To Add More Shayri Using Our Comments Form.


 
Home | About Us |Our Services | Contact Us | SEO Package | Privacy Policy | HTML Site Map